mai to yahi tha-by kkaushikk
Guzarte rahe karavan
manzilon ki or
beet gaye kitne Ab tak
mehfilon ke dour
Bas hamee ko unka
ilm tak nahi tha
Tum awaaz dete to paate
main to yahin tha
Haan Yahin pe khada tha
Or is soch mein pada tha
Jab bhee aate tumko
Main dekh loonga
To saaya ban ke tera
Tere saath mein chalunga
Bas Tumhi ne na dekha
Main to yahin tha
Abhi bhee gard dikhti hai
Kaafilon ke jaane ki
Abhi bhee door kshitij mein
roshani hai zamaane ki
Tum pukar loge
To dauda chala aunga
Tumne kyun na dekha
Main to yahin tha
Ret mein nishan bhee
Toofano tak thehar jaate hai
Inke nishandehi par Kitne
Apne Rehnuma ko paate hain
Lekin Tumne na dekha
Na intezar kiya
Main to yahin tha

0 Comments:
Post a Comment
<< Home